TIME VALUES

                                       TIME VALUES IN HINDI
          Hum sab jante he ki Time ki kadar karna chahiye, Time ko waste karna nehi chahiye. Phir bhi hum apna time waste karte hai? What is the reason behind this? Agar hame kuchh kaam karna hota he to hum uss kaam ke deadline najdik hone tak wait karte hai. usse pehel kiun kam ko khatam nehi karte hai? 

                     Asal mein hame time ki actual value malum hi nehi hai. For example hame money value achhe se pata hai isliye hum money saving karte hai or sehi tarike se kharch karte hai. Agar time ki real value hame pata chal jaye to tum time ko bhi right way mai utilize karenge.So the main reason is our short term vision.

SHORT TERM VISION
   
                 Hum money ko leke to long term vision dekh lete hai, ki main 10 year ke bad itna kama raha hunga,aisa ghar banaunga, aisa gadi hoga. To fir ham usi hisab se pese kharch or saving karte hai.but in case of time tum short term vision rakhte hai. For example maan lijiye aap ek student hai to fir apka kaam padhai karna hota hai or agar aap thik se padhai nehi karte hai to phir aap sochte hai ki " chalo koi bat nehi is sal mark thoda kam aayenge" ye short term vision he. But aap issi bat ko long term mai sochte, " ki agar aap padhai nehi karenge to aap ka kam mark aayega, agar aap ka  mark kam aaya to aap achhi college mai admission nehi le payenge, aur agar aachi college mai admission nehi hua to achhi job nehi milegi, aur agar achhi job nehi milegi to achhi salary nehi milegi, or agar salary achhi nehi hui to fir aap ka sapna kese pura hoga".

   SUCCESS

            Success to har koi banna chahata hai, Lekin ban pate hai kuchh hi log. Aur success vahee hote hai jo deserving hote hai. woh log time ki value jante hai aur uska sehi se istamal bhi karte hai. All successful people give more value to time than money. Kiun ki agar pesa chala jaye usko phir se kamaya ja sakta hai, Lekin time chala jaye to usko kitna bhi pesa khharch kar ke wapas nehi laya ja sakta. Aap sab ne "Bill Gates" ka nam to suna hi hoga. Unke calculation ke hisab se, agar unka  $100 gir jaye to jitna time unko bo pesa jhuk ke uthane me lagega, Utna time mai unka usse jyada ka nuksan ho jayega. Isiliye bo time ko jyada importance dete hai.

               Hum abhi agar time ka sahi upyog karenge tab aage jake time hame achha result dega. For example  maan lijiye agar aap ek nayi company start kar rahe hai, to suruat main aap kispe jyada dhyan doge? obviously aap pehele profit ke bare mai jyada na soch kar app production or supply pe jyada dhyan doge. kiun ki in future jab aap ka company apne aap mai ek  brand ban jayega phir aap jitna chahe profit kama sakte hai.Wese hi agar aap apna time ko abhi sehi se utilize karenge in future aap khud ek brand ban jayenge. Phir aap job ke pas nehi job aap ke pass aayega  ya phir aap jo bhi life main karna chahate hain aap kar sakte hai.


            So sirf soch rakhne se kuch nehi hota hai, Hota wahi hai jab aap aaj kuch karoge, Aur aaj kuch karne Ke liye aap ko time value pata hona jaruri hai. 

Post a Comment

0 Comments