Dr. APJ ABDUL KALAM IN HINDI

                  

                     Dr. APJ ABDUL KALAM 



    Hum sab Dr. APJ Abdul Kalam ka naam to suna hi hai. Leki kya aap unke rastra pati se pahale wala jindagi ke bare main kuch jante hain. Aaj hum dr. APJ Abdul Kalam ke bare main kuch bate janenge.

 APJ Abdul Kalam Ke Bachpan

       Dr APJ Abdul Kalam Unn ka pura naam Dr. Avul Pakir Jainulabdeen Abdul Kalam. Wo 15 October  1931 koRameswaram ke masjid gali mai  janm grahan kiye the. Unke pita ka naam Jainulabudeen tha aur mata ka naam Ashi amma tha.

          Ram Nath Sastri jo ki mandir ki mukhya pujari ke bete the wo Abdul Kalam Bachpan Ke bahat achhi mitra the. wo dono hamesa sath sath rahate the. Subha  Subha jab Ram Nath Sastri Apne pitaji ke sath mandir main puja karte the, Tab Abdul Kalam Mandir ke bahar baithe rehte the, Kiun ki unko mantra ucharan sunna bahat pasand tha.Unko jane aane wale sab sak ke najro se dekhte the.
   
       Jab Abdul Kalam 5th class mai the tab school mai ek teacher ne abdul kalam ko Ram nath sastri ke sath baitha dekh kar unko toke or bole ki " tum ek musalman ho tumhari himat kese hui ki ek pujari ke bete sath baithne ki". Ye bol ke  Unhe Pichhe baith ne ko kaha gaya. Ye bat sunke wo dono hi bahat dukhi huye. School chhuti hone ke bad wo dono apne apne ghar gaye.Abdul kalam ke pitaji unka utra hua chehera dekh ke uska waja puchhe, Tab Abdul Kalam ne sari bate unke pita ko bataye.Ye sunke Unke pita bhi bahat dukhi huye. Dusri taraf Ram Nath Sastri apne pita ko sari bat bata diye.

   Agli subha Ram nath Sastri bhagte huye Abdul kalam ke pas aaye, Aur bole ki unke pitaji ne Abdul Kalam ko bulaye he. Jab Abdul Kalam wahan pahanche tab unhone dekha ki unke teacher pahalese hi wahan pe upasthit the. Unko dekh kar Abdul Kalam dar gaye. Lekin wahan pe jab Abdul Kalam pahanche tab Ram Nath Sastri ke pitaji ne teacher to dant rahe the. Aur wo teacher ko bole " Tumhe Kalam se mafi mangni padegi, aap ek siksyak he aap ko ek sath rahane ke lie sikhana chahiye par aap to unhe alag kar rahe hai, ye aap ko sobha nehi deta". Tab teacher ko apni galti ka ehsaas huaa aur wo Abdul Kalam se mafi bhi mange.Uske baad wo dono dost school main sath sath baithe.

2nd biswa yudh ke khatam hone ke bad charo taraf khusiyan chhai hui thi. Tab redio main gandhi ji ka bhasan charo taraf chhaya hua tha. ki hum apna desh khud banayenge, Tab Abdul Kalam soche ki aage jake unko apne desh ke liye kuch karna he. Magar uskeliye Unko achhi school mai dakhila lena hoga. Magar ye bat wo apne pitaji se nehi kar sakte the. Unka aarthik paristhiti thoda kharab hone ke karan wo khud akhbar bantne jate the. Ek din ki bat he, Jab Abdul Kalam padhai kar rahe the unke pitaji unke pas aaye aur bole " beta main janta hun tum aage padhna chahate ho, Magar tum mujhe kuch bol nahi pa rahe ho. Magar tum chinta mat karo, tumhari maa aur mai chahate hai ki tum aage padho. Tum paise ki chinta mat karo wo mai dekh lunga bas tum apni padhai mai dhyan lagao. Hume tum se bahut umeed hai".

   Fhir wo Rameswaram se dur Ramnathpur main The Schwartz School main dakhila liye. Uss samay fan nahi the, Jab mausam umash bhara hota tha to sab ped ke niche padhai karte the. Ek din galti se Abdul Kalam dusri kaksha mai chale gaye the, Tab unke teacher unko marte huye bole ki "agar tum apni kaksya thik se dhundh nehi sakte to tum yahan kya kar rahe ho? Tumhe apni ghar wapas chle jana chahiye".wo bahat dukhi huye. wo soche " wahan padh ne ke liye unke pariwar bahat muskilon ka samna kar rahen he. wo khudko sabit karna chahate the. Isliye wo rat rat bhar jaag kar padhai karte rahe aur first aaye. agli subha school main prathna ke samay wahi shikshak  Abdul kalam ke naam lete huye muskurate huye bole jinho ne bhi merese maar khayen he wo jiban main aage gaye hain, ye bolte huye sab has ne lage. Abdul Kalam aur unke pariwar bahat khush the.

APJ Abdul Kalam Ke College Life


        1950 Jab Abdul Kalam apni school khatam kiye. samay ke sath sath unko pata chala ki unko kya karna hai. unko aasman main udna tha. wo khaali samaye main aasman main udte huye pakshi ko dekhte  rahate the.Phir wo engineering karne ka nirnay liye. wo  Madras Institute if technology (Aerospace Engineering) main dakhila liye, Jo ki uttar Bharat main sabse prasidh college tha. Unka Padhai achha hone ke Kaaran unko scolarship bhi mila. Wo bahat khush the Engineering kar ke. College ke parisar main 2 biman pradarshani ke liye rakha gaya tha. College chhuti hone ke bad wo wahan baith kar dono bimano ko dekhte rahate the. 

      Engineering ke Samay unko ek biman ki design karne ka project mila tha.Wo ek group the to wo Apna Apna Kaam bant liye.Jab Project dene ka time aaya to sab milkar project dediye. Teacher unka project dekh kar udash ho kar bole" Kalam, tumne mujhe nirash kiya, mujhe tumse aur behtar ki umeed kiya tha". Abdul Kalam dukhi  ho gaye, wo unke teacher ko bahat samjhane ki koshish  kiye lekin kuch nahi hua.Phir Abdul Kalam ne aur 1 mahine ki samay mange dubara se project dene ke liye. magar unke teacher ne un ko Sirf 3 din ka samay diye, Aur kahe "Agar tum time se ek achha project nahi dete ho to tumhara scolarship le liya jayega". Unke pas koi dusra rasta nahi tha. wo din rat jod diye apni project puri karne ke liye. 3 din ke bad wo time se apna project  de diye. Unka project dekh kar teacher ascharya ho gaye aur wo bole " kalam, mai janta hun ki 3 din de kar maine tum pe bahat dawao dala tha, magar tumne itna kam samay main bahat achha kam kiye ho". Ye sun kar Abdul kalam bahut khush huye aur unka sara thakan dur ho gaya.Phir bo bahut achhi mark se apni engineering pass huye. Aur wo apni sapne ke bahut najdik pahanch gaye the.

APJ Abdul Kalam Professional Life



     Engineering khatam karne ke bad Abdul Kalam Indian Air Force ke liye aabedan kiye the. Par Pariksa wo 9th position main the. Lekin sirf 8 hi pad khali tha ,isliye unko nirasa ka samna karna pada. Phir wo Aeronautical Development Establishment of the Defence Research Development Organisation(DRDO)main ek designer ke tour pe bharti hue. Unka pahala kaam ek choti si hovercraft design se suru hua tha. Magar Abdul kalam is kaam se khush nahin the. Phir wo 1969 mai INCOSPAR committee join kiye, Aur Vikram Sarabhai ke niche kaam kiye. Kuch samay bad unka Indian Space Research Organisation (ISRO) main trancefer ho gaya.Wahan pe wo India ka pehela satellite launch vehicle SLV3 Project main Project director ke tour pe kaam kar rahe the.

      7 saal ki kadi mehenat ke baad aakhir wo ghadi  aagai jiska bahat log besabri se entajar kar rahe the, India ka pahala satellite launchng (SLV3). Sab kuch achhese Tayari karne ke bad SLV3 suru kardiya gaya. Pahale padao main sab kuch thik thak tha. magar dusri padao main SLV3 niyantran se bahar ho gaya.Usi waje se 317seconds ke bad mission ko band karna pada. Sab ko bahat bada jhatka laga.  SLV3 Ke asafalta ke bare main bat chit karne keliye ek press meeting ka prabandh kiya gaya. Abdul Kalam Bahut sarmindigi mehasus kar rahe the Aur sath hi sath unko dar bhi lag rahatha ki sab unpe hi ungli uthayenge. Magar The chief Professor Satish Dhavan mic leke sare sawalon ka jawab dene lage. Aur Project pe phir se kaam kiya jaayega bol ke aaswasan diye. 1 saal bad 18 july 1980 phir se satellite "Rohini" launch hone keliye tayar ho gaya.is bar satellite safata purbak launch ho gaya. pura desh ullash se bhar gaya. Tab Abdul Kalam ne Apni jindagi ki sabse mahatwapurna shabd bole" Mission director calling all station, All stages successfully complited and satellite Rohini is on it's orbit"

       Abdul Kalam ke charon taraf khusian chhaya hua tha. Dubara Satellite rohini ke bare main bat karne ke liye aur ek press meeting bulaya gaya.Magar is bar Professor Satish Dhavan ne mic abdul kalam ko de diye, Kiun ki un ko pata tha ki Abdul Kalam uske liye kitna mehanat kiye the or "Rohini" ke bare main abdul Kalam ko jyada pata tha. Us din Abdul Kalam ko ek Lider ki najariyan samajh main aaya. ek sacha leader sara galti apni upar le leta hai, or sara sreya apni saha karmi ko de deta hai.

Awards

1981 - PADMA BHUSHAN
1990 - PADMA  VIBHUSHAN
1997 - BHARAT RATNA
1997 - INDIRA GANDHI AWARD FOR NATIONAL INTEGRATION
1998 - VEER SAVARKAR AWARD
2000 - RAMANUJAN AWARD
2007- KING CHARLES II MEDAL
2009- HOOVER MEDAL
2009- INTERNATIONAL VON KARMAN WINGS AWARD
2011 - IEEE HONORARY MEMBERSHIP


Post a Comment

0 Comments