Dharm kya hai?

Dharm

         DHARM, Dharm ke bare mein to har koi baat karta hai. Lekin asal mein ye dharm hai kya? Dharm na mandir hai na masjid hai, nahi church hai na gurudwara hai. Dharm na geeta  hai na quran, nahi bible hai na guru granth sahib. Dharm toh ek insan ki satyata hai, dharm ek biswas hai, Dharm hamara kartabya hai. Kuch logo ke man mein dharm ko leke galat bhavanaye baitha hua hai, ki ye is dhram ka hai aur wo us dharma ka hai. Aaj kal samaj mein hum jo bhi bhagwan ko mante hai ya jo bhi bhagwan ko pujte hai usi ko apna dharm maan lete hai. Aur lag jate hai bhag daud mai ki kese apne dharm ko aage badhaya jaye. Hindu bolte hai humara dharm mahan hai, musalman bolte hai humara dharmmahan hai,christian bolte hai humara dharm mahan hai. kya asal mai yehi aapka dharm hai? Asal mai dharm ka ye matlab nahi hai, dharm hume alaag hona nahi sikhata hai. Dharm hume ek dusre ke sath rahane ke liye prerana deti hai, Ek dusre ke sath bandh ke rakhti hai.

       geeta mein likha gaya hai ki karm hi bhagwan hai aur kartabya hi param dharm hai. Har vyakti ka kuch na kuch dharm rahata hai, jese student ka dharm padhai karna hoti hai, ek teacher ka dharm padhana hota hai, ek pujari ka dharm puja karna hota hai. Aur to aur humara dusro ke prati bhi bhuchu dharm hai. jeseki ek beta ya ek beti ka dharm hai ki wo apni mata pita ki sewa kare. humara samaj ke liye ye dharm kai ki hum apni charo taraf saaf rakhe, usko hum samajik dharm kahate hai, aur pariwar ke liye jo dharm hota hai usko hum pariwarik dharm kahate hai.

Dharm Ka Rasta

        Abhi ke samaya mai jyadatar log apne dharm se dur ho jata hai. Koi jan bujh kar apne kartabya se  dur bhagta hai to koi anjane mai dur ho jata hai. Agar hum ye 5 chij ka dyan rakhe to hum apne dharm se alag nahi honge.

                            Satya
                            Daya
                            Sant Swabhav
                            Karm
                            Santust



         Humesa sach bolne ki koshish karni chahiye. Aaj ki duniya jhut ke sahar hai, to hum se jita ho sake utna sach bolne ki koshish karni chahiye. Agar aap ke jhutse kisi ka bhala hota hai or kisi ko kuch nuksan na hota hai to bo alag bat hai. lekin bewaja bina kisi karan ke choti choti bato pe jhut bolna nahi chahiye.Aap jitna sach bolenge aap ka swabhab bi us prakar badal jayega. kiun ki satyata insan ka ek dharm hai.
 
     Humare andar daya bhav rahana chahiye.Jarurat mand ki madat karni chahiye. Humara dharm hume ekta sikhata he. sastra mein likha hai aur school main sab  padhe honge " sarve bhavantu sukhinah, sarve santu niramayaḥ, sarve vadrani pashyantu, ma kaschit dukha bha vabet ". Yaniki sab khushi se rahe, sab nirog rahe, sab ka bhala ho, kou kaston se juje na.

        hume hummesa sant rahana chahiye, Kiun ki ghuse mein hum jadatar galat faisala le lete hai. hun ye sochne ki sakti gawa dete hai ki kya ye sahi hai ya galat. Aur hum kuch yesa kadam utha lete hai jo ki humare dharm ke birudh ho. aaj kal dekhe honge ki bhai bhai ke bich jayedat ko leke jhagda hota hai, Jo ki bilkul adham hai. lekin insan krodh ke bas mein aake ye galti kar baith ta hai.Sant samay mein hi sahi faisla leneki skamta rahata hai. 

           Chahe chota kaam kare ya bada kaam, chahe koi achha kaam kare ya bura kaam sab apne apne karmo ke waje se jane jate hai.Humara karm hi hamara parichaye hota hai . achhe karm karne par dharm ki raksha hoto hai. Aur bure karm se dharm ka binash ho ta hai.

           Har insan ke paas jitna hai uko utne mein santust hona chahiye.  koi bhi insan ko sara sukh nehi milta. kisi ke pas dhaan ka sukh hai to kisi ke paas pariwar ka sukh he, aur kisi ke paas man ki sukh hai. isliye hume jo mita hai hume usme santust hona chahiye. Agar hum utne mai kush nahi he to jyada pane ki aas mein hun koi adharm ka rasta na chunle. kiuki uss samaya sirf humara pane ki chahat hogi , na ki sahi gatat sochne ki.