LIFE ME KHUSI
Har insan chahta he ki bo life me khushi se rahe,lekin reh nahi pate.
uski waja kya h? kyun log khushi se nahi reh pate?
uski reason he,
( EXPECTATION )
Ye cheez insan ko kabhi khushi se rehne nahi deta.
Har insan ye agar mil jaye to bahut acha hoga , ya agar ye kam mera ho jaye to acha hoga. bo insan apni khushi uss cheez me ya to uski bo kam me depend karta he bo uss me apni khushi dhund raha hota he.jab ki asli khushi bo nahi he.agar usko wo cheez nahi mila to bo dukhi ho jayega,or agar mil jaye to bo thodi time tak khush rahenge jab tak phire se koi cheez ki jarurat na ho.lekin kya ye sachi khushi he. insan ki jarurat kabhi khatam nahi hoti, usko ak ke bad ak cheez ki jarurat padti hi he.to aise to hame puri zindagi khushi nahi milegi.
Maan lijiye ak student he or usko exam me 80% mark ki umid ho,or usko 70% mila. usko 70% kiun mila bo to 80% chaha tha tha .usko 70% isliye mila ki " ham jo chahte he hame wo nahi milta , ham jo hen hamen wahi milta he". man lijiye koi admi chahale ki usse 1 lac ki salary wala naukri mile, To kya usse mil jayega ! Nehi usse utna hi milega jitne ka bo layak he.agar koi govt. ki tayari karne wala chahega ki usse 'collector' ban jaye, to kya bo ban jayega ,agar bo 'clark' ban ne ke layak ho to bo "clark" hi banega. hamare present ke kam hi hamare future decide karta he.
Isiliye hamara" EXPECTATION" hi hamara dukh ka karan he. Isliye pehele to hame hame jo chahiye hame usi ke anusar mehnat karna chahiye . or dusri bat he ki hame jitna mil raha, jo mil raha he, he hame usi me khush rahena chahiye , kiun ki agar ham dukhi rahenge tab bhi kuch fayeda to henewala nehi he, Ulta ham apno ko bhi dukhi karenge.Or ham ak khushi ke chakar me (jo hame badi khushi lagti he) ham bahat sari choti choti khushi ko najarandaj kar dete he.
Main aap logo ko ek kahani sunata hun.....
Ek bar ek admi ek baba ke pas gaya or bola ki "Baba mere zindagi me kabhi khushi nahi aayi.
Pehle bachpan me socha ki achi mark milega to achi collage me padhunga, bo nehi hua. phir socha ki achi naukri lag jayega to maa or papa ko apne pass le aunga,bo nehi hua. phir socha ki achha promotion hoga to pura pariwar ke sath ghumne jayenge, bo bhi nahi hua .Aisa mere hi sath kyun hota he". To Baba ne usse ak bagiche me le gaye or wahan pe line se phul lage huye th.To baba li ne bola inn phoolo me se sabse achha wala phul leke aao ,lekin ek bar agar tum age badh gaye to wapas lot ke nahi aasakta to admi age badha to usse sab achhe phul dikhai diye lekin wo nahi liye iss aasa me ki aage or achha phul milenge or bo aage badhta gaya or bo jab line ke akhri me pahuncha to dekha ki akhri ke jitne phool he bo sab murjhaye hue the ,to unme se bo ak leke aa gaya, to baba ne pucha "ye phool tumhe sabse acha laga". To admi ne bola"nahi baba pehle ke phool sabse achhe the". To baba ne bola " abhi tumhe samajh me aya ki tum ak khushi kechahat me jindegi ke sare choti moti khushion ko najarandaj kar dete ho"
To isliye jindegi me jo milraha he us ko haste huye accept karte chalo,dekhiye ga khushi apne app milte jayegi.
Ye sach he ki ye itna asan nehi he,kiun ki umid pe hi pura duniya kayam he.or insan expect hi
na kare ye to ho nehi sakta .ye normal si bat he ,me bhi expect karta tun. lekin agar bo na mile to dukhi ho ke beth jana nehi chahiye." Nehi mila to thik he age or bhi bahat sare chances he uss ko paneka, Bas mehenat karo fal apne aap mil jayeki".
Ye sach he ki ye itna asan nehi he,kiun ki umid pe hi pura duniya kayam he.or insan expect hi
na kare ye to ho nehi sakta .ye normal si bat he ,me bhi expect karta tun. lekin agar bo na mile to dukhi ho ke beth jana nehi chahiye." Nehi mila to thik he age or bhi bahat sare chances he uss ko paneka, Bas mehenat karo fal apne aap mil jayeki".
0 Comments
If you have any doubt, please let me know.